Mamnoon Nizamuddin

jhuki nigah mein hai Dhab pursish-e-nihani ka

Mamnoon Nizamuddin

Delhi, India

-1844
jhukī nigah meñ hai Dhab pursish-e-nihānī kā
hayā meñ zor diyā rañg mehrbānī kā
jiye haiñ garm nafas soz se ki bahr-e-charāġh
kare hai shola hī kaam āb-e-zindagānī kā
tabassum-e-lab-e-gunche ko dekh rotā huuñ
ki Thiik rañg hai us ḳhanda-e-nihānī kā
kahāñ se zor-e-dil-o-sīna-o-jigar lā.ūñ
tumheñ to khel lagā haath teġh-rānī kā
ilāhī jaib ki dāman ki āstīñ dho.ūñ
mizha ne siikh liyā shaġhl ḳhūñ-fishānī kā
nahīñ bachā maraz-e-ishq se koī 'mamnūñ'
hameñ dareġh bahut hai tirī javānī kā
Top Urdushayar.com