Mamnoon Nizamuddin

nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha

Mamnoon Nizamuddin

Delhi, India

-1844
nūr-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kyā laaf thā
baal us mukhḌe se uTh jaate to matlā saaf thā
saafī dil-ġhazand kī kyā thī dam-e-bos-o-kanār
bose ko mushkil Thaharnā siine se tā naaf thā
ik nigah kā duur se bhī aaj kal mahrūm hai
dil ki terā muddatoñ ḳhū-karda-e-altāf thā
ho dar-e-mai-ḳhāna par be-duḳht-e-raz baiThe hue
hazrat-e-'mamnūñ' yahī kyā sheva-e-ashrāf thā
Top Urdushayar.com