Mamnoon Nizamuddin

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

Mamnoon Nizamuddin

Delhi, India

-1844
khā ke kal ho pech-o-tāb uThā jo dil se naala thā
jā ke gardūñ pe chamaktā shola-e-javvāla thā
ḳhvāb meñ bosa liyā thā raat ba-lab-e-nāzukī
sub.h dam dekhā to us ke hoñTh pe but-ḳhāla thā
vaah rī afsurdagī is ḳhātir-e-dil-gīr kī
ashk kā qatra jo Tapkā chashm se so zhāla thā
thī ḳhayāle-e-mah-ruḳhāñ se shab baġhal labrez nuur
aab se ḳhālī va-lekin mai ba-rañg-e-hāla thā
kal ba-rañg-e-ġhuncha thī kis ko majāl-e-guftugū
baat jab kartā thā muñh meñ dil kā yak parkāla thā
bad-gumānī se Darā varna liyā terā jo naam
dekhnā bose kī ḳhātir maiñ lab-e-dallāla thā
Top Urdushayar.com