Mamnoon Nizamuddin

guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

Mamnoon Nizamuddin

Delhi, India

-1844
gumāñ na kyūñki karūñ tujh pe dil churāne kā
jhukā ke aañkh sabab kyā hai muskurāne kā
ye siina hai ye jigar hai ye dil hai bismillāh
agar ḳhayāl hai talvār āzmāne kā
kisī ke hoñTh ke milte hī ham tamām hue
mazā milā na hameñ gāliyāñ bhī khāne kā
mujhe ye dard hai mālūm hukm-e-bulbul bin
na merī ḳhaak pe kar qasd phuul laane kā
kiyā farefta kah kah ke hāl-e-dil us ko
asar fusūñ se nahīñ kuchh kam is fasāne kā
ġhamoñ kī gar yahī bālīdgī hai to āḳhir
dil-e-girafta nahīñ siine meñ samāne kā
Top Urdushayar.com