rahe hai rū-kash-e-nishtar har aabla dil kā
ye hausla hai koī balbe-hausla dil kā
abas nahīñ hai ye vābasta-e-pareshānī
kisī kī zulf ko pahuñche hai silsila dil kā
hujūm-e-ġhamza-o-ḳhail-e-karishma lashkar-e-nāz
ajab sipāh se Thahrā muqābla dil kā
kahūñ maiñ kyā ki huā kaise be-jagah maa.il
hai apne baḳht kā shikva nahīñ gila dil kā
shab-e-firāq ne chhoḌā na sabr-o-tāb-e-shakeb
lagī ye aag ki asbāb sab jalā dil kā