tujhe kuchh yaad hai pahlā vo aalam ishq-e-pinhāñ kā
shigāf-e-parda se kyā thā ishāra chashm-e-fattāñ kā
sunā hai kab ye chhuTtī hai pakaḌ gosha na dāmāñ kā
samajh kājal na phailā saaya hai terī hī mizhgāñ kā
yahāñ dam khīñchnā do dopahar mushkil hai ho jaatā
dhuāñ ghaTtā hai jab siine meñ apnī āh-e-sozāñ kā
na kī ġhamza ne jallādī na un āñkhoñ ne saffākī
jise kahte haiñ dil apnā vahī qātil huā jaañ kā
shigāf-e-sīna se az-bas-ki dūd-e-dil nikaltā hai
siyah ab jā-ba-jā se rañg hai apne garebāñ kā
ye dil hai qatra-e-ḳhūñ se bhī kam allāh rī jur.at
huā hai tispe rū-kash us ḳhadañg andāz mizhgāñ kā