jo bād-e-marg bhī dil ko rahī kanār meñ jā
to so chukā maiñ farāġhat se bas mazār meñ jā
tamām dard hoñ mālūm kuchh nahīñ ki kahāñ
tire ḳhadañg ne kī hai tan-e-nazār meñ jā
yahī to rizq hai bād-e-fanā mirā zālim
samajh ke barq-e-sharar-bār ḳhārzār meñ jā
qadam samajh ke tū rakh tishnigān-e-hasrat se
tihī nahīñ hai Tuk ulfat kī rahguzār meñ jā
uThī jo kulfat-e-dil kam ho merī kulfat meñ
ġhubār jaise ki mil jaa.e hai ġhubār meñ jā
na ho kahīñ ki do-sad-ḳhūn-e-ḳhufta hoñ bedār
sabā jo jaa.e to āhista kū-e-yār meñ jā
ḳhadañg-e-ġhamza to ḳhār-shigāf hai us kā
chhupā.e jī ko koī kaun se hisār meñ jā