rakhe hai rañg kuchh saaqī sharāb-e-nāb ātish kā
muqattar kyā kiyā le kar gul-e-shādāb ātish kā
mire ye garm aañsū poñchh mat dast-e-nigārīñ se
ki un āñkhoñ se rahtā hai ravāñ sailāb ātish kā
tah-e-mizhgāñ nihāñ rakhte haiñ ham laḳht-e-dil-e-sozāñ
yahāñ ḳhāshāk meñ rakkhā hai aḳhgar daab ātish kā
nigāh-e-garm se us kī dil-e-betāb rū-kash hai
harīf āḳhir huā ye pāra-e-sīmāb ātish kā
jo sail-e-ashk o āh-e-garm ko Tuk dījiye ruḳhsat
nishāñ dariyā kā gum ho naam ho nāyāb ātish kā
shakeb o taab o hosh o sabr soz-e-ġham se sab sulgā
huā to.ama ġharaz apnā tamām asbāb ātish kā
araq us shola-gūñ aariz pe kyā suna-e-ilāhī hai
nahīñ dekhā hai ham ne rabt bāham aab ātish kā