par sa.ūbat rāstoñ kī garmiyāñ bhī de gayā
aane vaalī chhāñv kī ḳhush-fahmiyāñ bhī de gayā
saḳht bījoñ se sunahrī bāliyāñ bhī bhar ga.iiñ
garm jhoñkā mausamoñ kī saḳhtiyāñ bhī de gayā
bādaloñ kī aas us ke saath hī ruḳhsat huī
shahr ko vo aag kī be-rahmīyāñ bhī de gayā
ehtisāb us kā amal thā us se vo fāriġh huā
vaqt saḌkoñ ko luTī shahzādiyāñ bhī de gayā
bebasī aur bhuuk meñ jo hausle detā rahā
pyaar karne kī mujhe kamzoriyāñ bhī de gayā
Tahniyāñ phūloñ se lad kar rab ke aage jhuk ga.iiñ
mausam-e-gul jaate jaate titliyāñ bhī de gayā
āsmāñ ne maañ zamīñ kī god to bhar dī magar
de ke beTe un ko kuchh nā-samjhiyāñ bhī de gayā