Azra Waheed

faza ka rang nikharta dikhai deta hai

Azra Waheed

fazā kā rañg nikhartā dikhā.ī detā hai
hai shab tamām ki sapnā dikhā.ī detā hai
lahū kā rañg hai miT kar bhī rañg lā.egā
ufuq kā rañg sunahrā dikhā.ī detā hai
vo jis ne dhuup ke mele ko chhat muhayyā kī
saḌak pe us kā baserā dikhā.ī detā hai
maiñ kaun huuñ ki hai sab kāñch kā vajūd mirā
mirā libās bhī mailā dikhā.ī detā hai
sarāb lab pe sajā.e har ek phirtā hai
mujhe to shahr bhī sahrā dikhā.ī detā hai
tane ko chhoḌ ke pattoñ ko thāmne vaalo
tumheñ shajar bhī tamāshā dikhā.ī detā hai
abhī se kashtiyāñ sāhil pe le chale logo
abhī se tum ko kinārā dikhā.ī detā hai
vo sauñp jaatā hai mujh ko havā ke hāthoñ meñ
usī kā mujh ko sahārā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com