Azra Waheed

gire qatron mein patthar par sada aisa bhi hota hai

Azra Waheed

gire qatroñ meñ patthar par sadā aisā bhī hotā hai
bhalā ho kar bhalā nām-e-ḳhudā aisā bhī hotā hai
diloñ meñ talḳhiyāñ phir bhī nazar meñ muskurāhaT ho
balā ke habs meñ bhī ho havā aisā bhī hotā hai
maiñ ḳhud se ajnabī ho kar qabā-e-ḳhush-dilī pahnūñ
mire andar rahe koī chhupā aisā bhī hotā hai
kanār-e-āb-e-dajla dhuup taptī ho qayāmat kī
har ik zarra bane karb-o-balā aisā bhī hotā hai
kabhī tanhā.iyoñ meñ ḳhud-kalāmī aur phir hañsnā
mujhe raas aa.e ye āb-o-havā aisā bhī hotā hai
sabhī paḌh kar phir apnī raah ho lete haiñ bastī meñ
sar-e-dīvār kuchh mub.ham likhā aisā bhī hotā hai
bachā luuñ nuuh ke beḌe ko tūfānoñ kī shiddat se
baḌhā bahr-e-madad ḳhud kibriyā aisā bhī hotā hai
Top Urdushayar.com