Azra Waheed

ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameTa hai

Azra Waheed

ġhubār-e-jāñ pas-e-dīvār-o-dar sameTā hai
dayār-e-sañg meñ shīshe kā ghar sameTā hai
samundaroñ meñ bhī sūraj ne bo diye haiñ sarāb
ga.e the siip uThāne bhañvar sameTā hai
sa.ūbatoñ kī koī had na āḳhirī dekhī
har ek raah meñ zād-e-safar sameTā hai
mohabbatoñ ne diyā hai sadāqatoñ kā shu.ūr
bikhar gayā hai jab ik baar ghar sameTā hai
havā ke saath safar meñ qabāhateñ thiiñ bahut
misāl-e-abr bikhartā nagar sameTā hai
añdherī raat meñ sūraj kī justujū kī hai
havāoñ meñ bhī charāġh-e-nazar sameTā hai
jo shāḳh shāḳh parindoñ kā āshiyāna thā
vo barg barg purānā shajar sameTā hai
numū ke rab kabhī us munsifī kī daad to de
shajar koī na lagāyā samar sameTā hai
Top Urdushayar.com