havā ke lab pe na.e intisāb se kuchh haiñ
ki shāḳh-e-vasl pe taaza gulāb se kuchh haiñ
ye pal kā qissa hai sadiyoñ pe jo muhīt rahā
bar-āb sā.at-e-guzarāñ habāb se kuchh haiñ
hujūm ham ko sar āñkhoñ pe kyuuñ biThā.e rahā
dil-o-nazar pe hamāre azaab se kuchh haiñ
lahū rulāte haiñ aur phir bhī yaad aate haiñ
mohabbatoñ ke purāne nisāb se kuchh haiñ
utarte rahte haiñ āñkhoñ ke ā.inoñ pe sadā
kitāb-e-ḳhasta meñ gum-gashta baab se kuchh haiñ
sivā.e tishnagī kuchh aur de sake na hameñ
jo zer-e-āb chamakte sarāb se kuchh haiñ
mudām un ko chamaknā baġhair ḳhauf-e-fanā
ye āsmān pe jo be-hisāb se kuchh haiñ