charāġh shaam se āḳhir jalā.eñ kis ke liye
koī na aa.egā āñkheñ bichhā.eñ kis ke liye
khiñchā khiñchā nazar aatā hai ham se har āñchal
sitāre toḌ ke laa.eñ to laa.eñ kis ke liye
nahīñ hai koī hameñ zindagī kā shauq magar
ham apnī jaan se jaa.eñ to jaa.eñ kis ke liye
sitam uThāne kā maqsad bhī koī hotā hai
ham āsmān se sharteñ lagā.eñ kis ke liye
ḳhilāf ham nahīñ aḳhtar-shumāriyoñ ke magar
savāl ye hai ki nīndeñ gañvā.eñ kis ke liye
vafā ik aag hai bachchoñ kā koī khel nahīñ
ham apnā muft meñ dāman jalā.eñ kis ke liye
sharāb ham pe hamesha se hai harām 'alīm'
pata nahīñ ye uThī haiñ ghaTā.eñ kis ke liye