Aleem Usmani

main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
maiñ naqsh-hā-e-ḳhūn-e-vafā chhoḌ jā.ūñgā
ya.anī ki rāz-e-rañg-e-hinā chhoḌ jā.ūñgā
tū aane vaale kal ke liye kyuuñ hai fikrmand
tere liye maiñ apnī duā chhoḌ jā.ūñgā
tere ḳhilāf koī na khole kabhī zabāñ
terī nigāh meñ vo nasha chhoḌ jā.ūñgā
aa jā.iyegā shauq se be bechain jab ho dil
darvāza apne ghar kā khulā chhoḌ jā.ūñgā
ruḳhsār-o-lab kī terī na kam hoñgī raunaqeñ
maiñ har ġhazal meñ zikr tirā chhoḌ jā.ūñgā
ā.īne de sakeñge na tujh ko kabhī fareb
terī jabīñ pe terā pata chhoḌ jā.ūñgā
ik ḳhaas chiiz chhoḌūñgā sab ke liye 'alīm'
pahle se kyuuñ batā.ūñ ki kyā chhoḌ jā.ūñgā
Top Urdushayar.com