vāraftagī-e-ishq na jaa.e to kyā kareñ
terā bhī ab ḳhayāl na aa.e to kyā kareñ
ḳhud sharm-e-ishq dil ko miTā.e to kyā kareñ
un tak nigāh-e-shauq na jaa.e to kyā kareñ
mai-ḳhvāriyāñ gunāh sahī sāqī-e-azal
jab abr jhuum jhuum ke aa.e to kyā kareñ
ye dair vo haram ye kalīsā vo mai-kada
apnī taraf har ek bulā.e to kyā kareñ
mumkin hai har ḳhayāl kā dil se nikālnā
terā ḳhayāl aa ke na jaa.e to kyā kareñ
maanā nigāh-e-shauq rahe ehtiyāt se
har jalva ḳhud nazar meñ samā.e to kyā kareñ
'bāsit' sitam pe shukr-e-sitam chāhiye magar
koī karam se ham ko miTā.e to kyā kareñ