maiñ un ko kabhī had se guzarne nahīñ dūñgā
is tark-e-ta.alluq ko maiñ chalne nahīñ dūñgā
tum laakh uchhālā karo alfāz ke sho.ale
firdaus-e-mohabbat ko maiñ jalne nahīñ dūñgā
karnā hī paḌe chāhe sabā se mujhe sāzish
maiñ aap ke gesū ko sañvarne nahīñ dūñgā
māyūs nigāhoñ se tum ā.īna na dekho
maiñ apnī nigāhoñ ko badalne nahīñ dūñgā
bārīk sahī laakh kisī shoḳh kā āñchal
nazroñ ko maiñ shīshe meñ utarne nahīñ dūñgā
jab us kī bichhaḌte hue bhar ā.eñgī āñkheñ
kis tarah maiñ sāvan ko barasne nahīñ dūñgā
vo chāhe 'alīm' ab kabhī aa.eñ ki na aa.eñ
tā-umr maiñ palkoñ ko jhapakne nahīñ dūñgā