gardish-e-mai kā is par na hogā asar mast āñkhoñ kā jaadū jise yaad hai
vo nasīm-e-gulistāñ se bahlegā kyā tere āñchal kī ḳhushbū jise yaad hai
tishnagī kī vo shiddat ko bhūlegā kyā dhuup kī vo tamāzat ko bhūlegā kyā
terī be-faiz āñkheñ jise yaad haiñ terā be-sāya gesū jise yaad hai
koī mumtāz hai aur na shāh-e-jahāñ soz aur saaz hai kuchh alag hī yahāñ
tāj-mahaloñ ke vo ḳhvāb dekhegā kyā sañg-e-marmar kā zaanū jise yaad hai
us ko dukh-dard koī chhalegā nahīñ us kī duniyā kā sūraj Dhalegā nahīñ
tere bachpan kī ḳhushiyāñ jise yaad haiñ tere dāman kā jugnū jise yaad hai
ai 'alīm' āfatoñ ke ye lashkar haiñ kyā ek mahshar nahīñ laakh mahshar haiñ kyā
us ko fitnoñ kī parvāh bilkul nahīñ tirā ik ek ghuñghrū jise yaad hai