Aleem Usmani

ab jam nigahon ke nasha kyun nahin dete

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
ab jaam nigāhoñ ke nasha kyuuñ nahīñ dete
ab bol mohabbat ke mazā kyuuñ nahīñ dete
tum khol ke zulfoñ ko uḌā kyuuñ nahīñ dete
tum shaan ghaTāoñ kī ghaTā kyuuñ nahīñ dete
ik ghūñT kī ummīd samundar se nahīñ jab
phir aag samundar meñ lagā kyuuñ nahīñ dete
hai muntazir-e-hashr bahut der se duniyā
ghuñghrū tire pairoñ ke sadā kyuuñ nahīñ dete
ye dhuup rahegī to ye rusvā.ī karegī
sūraj ko gunahgār bujhā kyuuñ nahīñ dete
tum dūsre logoñ pe na rakkhā karo ilzām
har baat meñ tum merī ḳhatā kyuuñ nahīñ dete
qātil kā hai kyā naam ye sab pūchh rahe haiñ
kyā ham bhī haiñ hamnām batā kyuuñ nahīñ dete
tum ko mire andāz-e-vafā se hai shikāyat
tum mujh ko vafā kar ke dikhā kyuuñ nahīñ dete
jo log 'alīm' apnī jagah miir bane haiñ
ash.ār ko vo tarz-e-adā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com