Aleem Usmani

wo arz-e-gham pe mashwara-e-iKHtisar de

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
vo arz-e-ġham pe mashvara-e-iḳhtisār de
kuuze meñ kaise koī samundar utaar de
duniyā ho āḳhirat ho vo sab ko sañvār de
taufīq-e-ishq jis ko bhī parvardigār de
phir dāvat-e-karam nigah-e-sho.ala-bār de
allāh mustaqil mujhe sabr-o-qarār de
jis phuul kā bhī dekhiye dāman hai taar taar
kitnā baḌā sabaq hameñ fasl bahār de
dard-e-jigar shikasta-dilī be-qarāriyāñ
kyā kyā na lutf mujh ko tirā intizār de
vaa.iz use batāo na jannat ke tum maze
ḳhuld-e-barīñ kā lutf jise kū-e-yār de
kañgan udhar kalā.ī meñ ghūmā to yuuñ lagā
āvāz mujh ko gardish-e-lail-o-nahār de
chehre pe vo sajā.e hai ma.asūmiyat kā nuur
ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanār de
maiñ huuñ shahīd-e-rāh-e-mohabbat magar 'alīm'
merā ġhalat pata mirī lauh-e-mazār de
Top Urdushayar.com