Aleem Usmani

deti hain thapkiyan teri parchhaiyan mujhe

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
detī haiñ thapkiyāñ tirī parchhā.iyāñ mujhe
rashk-e-bahisht haiñ mirī tanhā.iyāñ mujhe
mere nasīb meñ sahī āh-o-fuġhāñ magar
ab to sunā.ī detī haiñ shahnā.iyāñ mujhe
kitne uruuj par hai mire ishq kā vaqār
hāsil haiñ kū-e-yār kī rusvā.iyāñ mujhe
maa.il hai chashm-e-mast idhar lag rahā hai ab
āvāz deñgī jhiil kī gahrā.iyāñ mujhe
qaa.em hai mere dard kā ab tak vahī bharam
ab bhī salām kartī haiñ purvā.iyāñ mujhe
is daur-e-sarkashī kī kashākash ke darmiyāñ
lagtī hai pur-sukūn jabīñ-sā.iyāñ mujhe
jo the ḳharāb vo to bulandī pe haiñ 'alīm'
pastī meñ le ga.iiñ mirī achchhā.iyāñ mujhe
Top Urdushayar.com