Aleem Usmani

baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
bāda-ḳhāne kī rivāyat ko nibhānā chāhiye
jaam agar ḳhālī bhī ho gardish meñ aanā chāhiye
aaj aanā hai unheñ lekin na aanā chāhiye
va.ada-e-fardā usūlan bhuul jaanā chāhiye
tark karnā chāhiye hargiz na rasm-e-intizār
muntazir ko umr bhar sham.eñ jalānā chāhiye
jazb kar lete haiñ achchhī sūratoñ ko aa.ine
ā.inoñ se kiyā tumheñ āñkheñ milānā chāhiye
mere us ke biich jo hālāt kī dīvār hai
mujh ko us dīvār meñ ik dar banānā chāhiye
phir karam-āgīñ tabassum meñ hai poshīda sitam
hosh-mandoñ ko pahelī buujh jaanā chāhiye
gardish-e-hālāt se māyūs honā kufr hai
umr bhar insāñ ko qismat āzmānā chāhiye
merī ġhazleñ hoñgī kal nā-mahramoñ ke darmiyāñ
us kī ḳhushbū merī ġhazloñ meñ na aanā chāhiye
ham to qaa.il hī nahīñ mahdūd-e-ulfat ke 'alīm'
ham ko ulfat ke liye saarā zamāna chāhiye
Top Urdushayar.com