Aleem Usmani

tere chand jaise ruKH par ye nishan-e-dard kyun hain

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
tire chāñd jaise ruḳh par ye nishān-e-dard kyuuñ haiñ
tire surḳh ārizoñ ke ye gulāb zard kyuuñ haiñ
tujhe kyā huā hai āḳhir mujhe kam se kam batā to
tirī saañs tez kyuuñ hai tire haath sard kyuuñ haiñ
tujhe nā-pasand jo the vahī be-viqār rahte
jo aziiz the tujhe vo tire dar kī gard kyuuñ haiñ
vo kitāb laao jis meñ hai bayān shān-e-qaumī
mire daur kī ye qaumeñ ba-giraft-e-fard kyuuñ haiñ
mujhe shak guzar rahā hai tirī chāra-sāziyoñ par
ai masīh-e-vaqt batlā ye diloñ meñ dard kyuuñ haiñ
jinheñ yaad the fasāne bahut apne bāzuoñ ke
ai 'alīm' muzmahil se vo dam-e-nabard kyuuñ haiñ
Top Urdushayar.com