Aleem Usmani

maut aai hai zamane ki to mar jaane do

Aleem Usmani

Barabanki, Uttar pradesh, India

1931-2012
maut aa.ī hai zamāne kī to mar jaane do
kam se kam us kī javānī to guzar jaane do
jaag uTTheñge ham abhī aisī zarūrat kyā hai
dhuup dīvār se kuchh aur utar jaane do
muddateñ ho ga.iiñ ik baat mire zehn meñ hai
sochtā huuñ tumheñ batlā.ūñ magar jaane do
gardish-e-vaqt kā kitnā hai kushāda āñgan
ab to mujh ko isī āñgan meñ bikhar jaane do
ḳhush-nasībī se idhar ātish-e-ġham ḳhuub hai tez
dosto ab mirī hastī ko nikhar jaane do
koī manzil nahīñ rah jā.egī sar hone ko
aadmī ko zarā allāh se Dar jaane do
toḌ do baḌh ke ye mafrūza vafāoñ ke hisār
dil kī āvāz jidhar jaa.e udhar jaane do
vaqt ke haath kā pheñkā huā patthar huuñ maiñ
ab to mujh ko kisī shīshe meñ utar jaane do
uljhaneñ ḳhatm na kyuuñ hoñgī zamāne kī 'alīm'
un ke uljhe hue gesū to sañvar jaane do
Top Urdushayar.com