Basit Bhopali

nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
nahīñ ye jalva-hā-e-rāz-e-irfāñ dekhne vaale
tumheñ kab dekhte haiñ kufr-o-īmāñ dekhne vaale
ḳhudā rakkhe tire ġham kā bahut nāzuk zamāna hai
sahar dekheñ na dekheñ shām-e-hijrāñ dekhne vaale
ye kis ne lā ke rakh dī sāmne tasvīr mahshar kī
abhī chauñke hī the ḳhvāb-e-pareshāñ dekhne vaale
kahāñ tak ā.īna-dār-e-tajalliyāt-e-ḳhud-bīnī
ye parda bhī ulaT de o dil-o-jāñ dekhne vaale
ye dīvāne sujūd-e-shauq kī azmat ko kyā jāneñ
mujhe kyā paa.eñ farq-e-kufr-o-īmāñ dekhne vaale
kabhī girdāb se bhī khel maujoñ se bhī Takrā jā
are sāhil pe rah kar josh-e-tūfāñ dekhne vaale
tire qurbān 'bāsit' aur 'bāsit' kī har ik duniyā
bahār-e-vahshat-e-āshufta-hālāñ dekhne vaale
Top Urdushayar.com