dil kī rūdād nigāhoñ se bayāñ hotī hai
dard-mandoñ kī ḳhamoshī meñ zabāñ hotī hai
ḳhud-farāmosh na jab tak ho koī kyā samjhe
be-nishānī bhī mohabbat meñ nishāñ hotī hai
naqsh-e-ummīd haiñ ban ban ke bigaḌte kyā kyā
zindagī raqs-gah-e-reg-e-ravāñ hotī hai
jo tire husn-e-nazar-gīr se shādāb nahīñ
un bahāroñ ke muqaddar meñ ḳhizāñ hotī hai
vo burā vaqt mohabbat meñ na dekhe koī
jab mohabbat bhī tabī.at pe garāñ hotī hai
yuuñ bhī hotī hai tire ġham kī navāzish aksar
lab pe hotī hai hañsī dil meñ fuġhāñ hotī hai
jāñ-nisārī se hai tauqīr-e-mohabbat lekin
dekhnā ye hai ki takmīl kahāñ hotī hai
ham vahāñ ho ke bhī maujūd kahāñ hote haiñ
ham-nashīnoñ meñ tirī baat jahāñ hotī hai
chauñk uThtā hai ġham-e-hijr kā ehsās 'rishī'
un ke aane pe bhī taskīn kahāñ hotī hai