kise nadīm kise ham-navā kaheñ apnā
biThā ke paas kise mudda.ā kaheñ apnā
rah-e-hayāt meñ apne parāyoñ se haT kar
koī mile to use mājrā kaheñ apnā
adā-e-parda-nashīnī kī shaan kahtī hai
vo but hai to bhī use ham ḳhudā kaheñ apnā
qadam qadam pe na kyuuñ ahl-e-kārvāñ bhaTkeñ
vo rāhzan hai jise rahnumā kaheñ apnā
hamāre paas Thahartā hai ajnabī kī tarah
ravish jab us kī ho aisī to kyā kaheñ apnā
vo rū-ba-rū hai to hotī hai ḳhud-shanāsā.ī
jamāl-e-yār ko ham ā.īna kaheñ apnā
tire sulūk par ab ye savāl uThtā hai
tujhe parāyā kahe jaa.eñ yā kaheñ apnā
'rishī' huā to hai apne bhī haal kā pursāñ
vo shaḳhs ham jise dard-āshnā kaheñ apnā