Rishi Patialvi

makan se la-makan tak aa gae hain

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
makāñ se lā-makāñ tak aa ga.e haiñ
kahāñ se ham kahāñ tak aa ga.e haiñ
jahāñ jalte haiñ par hosh-o-ḳhirad ke
junūñ meñ ham vahāñ tak aa ga.e haiñ
bhaḌak uTThī hai kaisī ātish-e-gul
sharāre āshiyāñ tak aa ga.e haiñ
ḳhulūs-e-dostī par marne vaale
hayāt-e-jāvidāñ tak aa ga.e haiñ
hamārī gum-rahī manzil nishāñ hai
tajassus meñ kahāñ tak aa ga.e haiñ
vahāñ dil meñ mohabbat kī kamī hai
jahāñ shikve zabāñ tak aa ga.e haiñ
tamāshā-e-bahār-e-gul kī shaidā
bahār-e-gul-ruḳhāñ tak aa ga.e haiñ
maqām apnā nahīñ ma.alūm lekin
jahāñ tum ho vahāñ tak aa ga.e haiñ
kisī ke jalva-hā-e-hairat-angez
nazar ke imtihāñ tak aa ga.e haiñ
na pahuñche ḳhāna-e-dil ke makīñ tak
zamīñ se āsmāñ tak aa ga.e haiñ
guzar kar ham ḳhudī vahm-o-gumāñ se
ḳhudā jaane kahāñ tak aa ga.e haiñ
'rishī' manzil nahīñ ab duur ham se
ġhubār-e-kārvāñ tak aa ga.e haiñ
Top Urdushayar.com