ye bhī nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī
ye bhī hai sach ki diid kī hasrat nahīñ rahī
dil un kī is adā se bhī mānūs ho gayā
ab jaur-e-be-ruḳhī kī shikāyat nahīñ rahī
donoñ badalte vaqt ke sāñche meñ Dhal ga.e
vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī
kyā dekhte haiñ dekh ke pesh-e-nazar unheñ
goyā nigah meñ diid kī tāqat nahīñ rahī
ab ḳhvāb hī meñ un se mulāqāt ho to ho
milne kī un kī aur to sūrat nahīñ rahī
jab kuchh na the ḳhayāl thā nām-o-numūd kā
ab kuchh hue to ḳhvāhish-e-shohrat nahīñ rahī
sad-haif zarf valvala-e-dil ke bāvajūd
pahlī sī vo jasārat-o-jur.at nahīñ rahī
insāniyat ke naam kā charchā to hai magar
insāniyat amal se ibārat nahīñ rahī
dekh ai 'rishī' kamāl-e-fusūn-e-jadīdiyat
ab ehtirām-e-fan kī zarūrat nahīñ rahī