Rishi Patialvi

tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
tarīq-e-ishq meñ adnesha-e-ziyāñ na rahā
usī kā naam rahā jis kā kuchh nishāñ na rahā
kahīñ guloñ meñ kahīñ mehr-o-māh-o-anjum meñ
nazar nazar ke liye vo kahāñ kahāñ na rahā
liye the baḌh ke qadam jis ke qurb-e-manzil ne
vo kārvāñ na rahā mīr-e-kārvāñ na rahā
jinhoñ ne ḳhuun se kī ābiyārī-e-gulshan
unhīñ kā sehn-e-gulistāñ meñ āshiyāñ na rahā
ye sāneha hai ki rāheñ to haiñ na.ī lekin
kisī usuul pe dastūr-e-kārvāñ na rahā
nazar-navāz thā jab manzar-e-gul-o-ġhuncha
chaman meñ aglī bahāroñ kā vo samāñ na rahā
vo din bhī the ki ta.alluq thā ham-navāoñ se
ye vaqt bhī hai ki ab koī ham-zabāñ na rahā
hameñ bhī ab to ye harf-e-ġhalat sā lagtā hai
hamārā naam ki jo zeb-e-dāstāñ na rahā
diyā thā naam jise rāh-o-rasm-e-ulfat kā
'rishī' vo mashġhala-e-sa.ī-e-rā.egāñ na rahā
Top Urdushayar.com