Rishi Patialvi

har ek mahaul se beganagi mahsus hoti hai

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
har ik māhaul se begānagī mahsūs hotī hai
kahīñ apnī kahīñ terī kamī mahsūs hotī hai
abhī se kyuuñ judā.ī kī aziyyat kā kareñ shikva
abhī dil meñ tirī maujūdgī mahsūs hotī hai
mohabbat kā karishma koī dekhe tere kūche meñ
khule bandoñ yahāñ luT kar ḳhushī mahsūs hotī hai
tire irshād-e-be-āvāz ko jab dil se suntā huuñ
ḳhamoshī guftugū kartī huī mahsūs hotī hai
tasallut hai abhī josh-e-junūñ par hosh-mandī kā
abhī dīvāngī dīvāngī mahsūs hotī hai
unheñ pā kar bhī rahtā hai tajassus kā vahī aalam
koī shai jis tarah khoī huī mahsūs hotī hai
talāsh apnī hai yā un kī kuchh andāza nahīñ hotā
basā-auqāt yuuñ āvārgī mahsūs hotī hai
tirī nazroñ kā nashtar to ba-rū-e-kār hai lekin
mohabbat kī ḳhalish meñ kyuuñ kamī mahsūs hotī hai
ye maanā ajnabiyyat kī fazā hai bazm-e-ālam meñ
magar har shakl pahchānī huī mahsūs hotī hai
kisī ko dekh kar yārab ye ab kyā dekhtā huuñ maiñ
nazar anvār meñ khoī huī mahsūs hotī hai
nahīñ hote to hotī haiñ 'rishī' tārīkiyāñ dil meñ
vo hote haiñ to dil meñ raushnī mahsūs hotī hai
Top Urdushayar.com