Rishi Patialvi

phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
phailā.e jab daam havas ne rasm-e-mohabbat aam huī
past huā me.aar vafā kā ik duniyā badnām huī
dil ne kaam liyā āñkhoñ se ḳhāmoshī paiġhām huī
jalvoñ kī kasrat ke aage tāb-e-nazar nākām huī
dekhe haiñ dastūr nirāle ham ne vādī-e-ulfat meñ
rāheñ jab āsān huiiñ to sa.ī-e-talab nākām huī
chaltī haiñ kis kī tadbīreñ khel haiñ sab taqdīroñ ke
shaam kisī kī sub.h meñ badlī sub.h kisī kī shaam huī
mahfil mahfil bāteñ niklīñ kyā kyā charche aam hue
terā adā-e-kam-āmezī kis had tak badnām huī
avval avval vahm-e-davā ne lutf-e-sukūñ barbād kiyā
āḳhir āḳhir dard kī daulat ulfat kā in.aam huī
mahv huā dīdār talab dil aisā un ke jalvoñ meñ
goyā mil kar bhī milne kī baat barā.e-nām huī
kyā jaane kyuuñ dil ne terī yaad kā dāman thaam liyā
majbūrī āġhāz huī jab nākāmī anjām huī
kyā kahiye kis kis kī nazar ne bad-zauqī ko aam kiyā
un kī nazroñ ke hote kyuuñ duniyā ġharq-e-jām huī
fikr-e-ġham-o-ālām 'rishī' hai goyā naam judā.ī kā
un kī mahfil meñ kab dil ko fikr-e-ġham-o-ālām huī
Top Urdushayar.com