alam ma.aal agar hai to phir ḳhushī kyā hai
koī sazā hai gunāhoñ kī zindagī kyā hai
hameñ vo yuuñ bhī bil-āḳhir miTā.eñge yuuñ bhī
sitam ke ba.ad karam bhī to hai abhī kyā hai
nizām-e-bazm-e-do-ālam hai intishār-āgīñ
nigāh-e-dost meñ āsār-e-barhamī kyā hai
kisī maqām pe bhī mutma.in nahīñ nazreñ
ziyāñ hai zauq-e-tajassus kā āgahī kyā hai
namāz-e-ishq jo shāmil nahīñ ibādat meñ
fareb-e-kufr sarāsar hai bandagī kyā hai
badal ga.ī na agar bāġhbāñ kī niyyat hī
chaman kā rañg badalne meñ der hī kyā hai
guzar ga.ī hai shab-e-ġham yaqīñ nahīñ aatā
sahar numūd nahīñ hai to raushnī kyā hai
matā-e-husn-e-do-ālam se bhī sivā kahiye
qamar-jamāl hai tasvīr aap kī kyā hai
jo sehr-e-husn kī tāsīr kā nahīñ qaa.il
tirī nazar se vo pūchhe ki sāhirī kyā hai
kisī kā husn kahāñ apnā zauq-e-dīd kahāñ
kisī ke jalvoñ se nazroñ kī hamsarī kyā hai
qadam qadam pe diyā hai fareb rahbar ne
jo rahbarī use kahiye to rahzanī kyā hai
hamāre dil pe uchaTtī nazar hī Daal kahīñ
tujhe ḳhabar to chale soz-e-āshiqī kyā hai
hamīñ ne dil meñ jagah dī hameñ pe mashq-e-sitam
ye dostī hai to ai dost dushmanī kyā hai
bahār aa.ī hai ab aap bhī chale aa.eñ
bahār ko bhī ḳhabar ho shaguftagī kyā hai
vafā kā naam baḌā ho to ho 'rishī' varna
jafā-e-dost meñ bhī lutf kī kamī kyā hai