dāva-e-dīd kiyā jab kisī shaidā.ī ne
chār-sū aag chhiḌak dī tirī ra.anā.ī ne
laakh dhoke diye rañgīnī-o-rānā.ī ne
aañkh uThā kar bhī na dekhā tire shaidā.ī ne
un marīzān-e-mohabbat kī davā hai na duā
kar diyā jin pe karam terī masīhā.ī ne
Duub kar dil ne kiyā ġharq safīna āḳhir
bahr-e-ulfat meñ Duboyā nahīñ gahrā.ī ne
naqsh-e-pā un kā magar sar ko mayassar na huā
dar-ba-dar ḳhvār kiyā zauq-e-jabīñ-sā.ī ne
sañg haiñ guhar-e-guhar jin kī ziyā baḳhshī se
bazm-e-hastī meñ kuchh aise bhī to haiñ ā.īne
ham ne dekhā to zamāne kī nazar us pe uThī
bhar diyā rañg tamāshe meñ tamāshā.ī ne
dekhne hī na diyā un ko 'rishī' mahfil meñ
kuchh tahayyur ne kuchh andesha-e-rusvā.ī ne