aa.ine se na Daro apnā sarāpā dekho
vaqt bhī ek musavvir hai tamāshā dekho
kar lo bāvar koī laayā hai ajā.ib-ghar se
jab kisī jism pe hañstā huā chehrā dekho
chāhiye paanī to lafzoñ ko nichoḌo varna
ḳhushk ho jā.egā afkār kā paudā dekho
shahr kī bhiiḌ meñ shāmil hai akelā-pan bhī
aaj har zehn hai tanhā.ī kā maarā dekho
vo jo ik hasrat-e-be-nām kā saudā.ī hai
us ko patthar ne baḌī duur se taakā dekho
had se baḌhne kī sazā detī hai fitrat sab ko
shaam ko kitnā baḌhā kartā hai saayā dekho
ab to sar phoḌ ke marnā bhī hai mushkil 'najmī'
haa.e is daur meñ patthar bhī hai mahñgā dekho