Basit Bhopali

jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
jaise bhī ye duniyā hai jo kuchh bhī zamānā hai
sab terī kahānī hai sab merā fasānā hai
ik barq-e-siyah-mastī ik sho.ala-e-mad-hoshī
miinā se girānā hai sāġhar se uThānā hai
tum tak na pahuñch jaa.e lau sham-e-mohabbat kī
jab tuur ko phūñkā thā ab dil ko jalānā hai
mahdūd-e-zabāñ kab tak afsāna mohabbat kā
āñkhoñ se bhī kahnā hai dil se bhī sunānā hai
allāh re tanzīm hairat-kada-e-hastī
dekho to haqīqat hai samjho to fasānā hai
aaheñ bhī nahīñ ruktīñ naale bhī nahīñ thamte
aur un ko mohabbat kā afsāna sunānā hai
vo husn-e-mujassam haiñ ham ishq-e-mukammal haiñ
un kā bhī zamāna hai apnā bhī zamānā hai
jalve kahīñ chhupte haiñ nazreñ kahīñ ruktī haiñ
parda na uThānā bhī parda hī uThānā hai
bulbul kī mohabbat se vo raaz rahe kab tak
kaliyoñ kī zabāñ par jo mub.ham sā fasānā hai
tadbīr bhī ye kah kar ruḳhsat huī furqat meñ
taqdīr kī duniyā hai qismat kā zamānā hai
kuchh dard ke pahlū haiñ kuchh yaas kī bāteñ haiñ
afsāna mirā kyā hai ronā hai rulānā hai
nākām mohabbat kī allāh re majbūrī
jiine kī nahīñ fursat marne ko zamānā hai
kyā qahr hai ai 'bāsit' ye tab-e-hayā-parvar
un kī hī mohabbat hai un se hī chhupānā hai
Top Urdushayar.com