ahl-e-ishq kī hastī kyā ajiib hastī hai
marg-e-nā-gahānī ko zindagī tarastī hai
naam hai sukūñ jis kā jins vo nahīñ miltī
ashk jis kā hāsil haiñ vo ḳhushī to sastī hai
jis jagah mohabbat se husn-o-ishq milte haiñ
kaun sī vo duniyā hai kaun sī vo bastī hai
sau tarah rulātī hai bhuul kar agar hañsiye
roiye to ye duniyā khilkhilā ke hañstī hai
kyā zarūr pī kar hī ham surūr meñ aa.eñ
vo nazar salāmat hai be-piye hī mastī hai
jalva-hā-e-rañg-o-bū dil meñ kyā jagah paa.eñ
aañkh meñ jo bastā hai dil to us kī bastī hai
dūsre ke sāġhar par jo nazar nahīñ rakhte
un kī mai-parastī meñ shān-e-haq-parastī hai
kis kī mai-farosh āñkheñ bas ga.iiñ tasavvur meñ
be-niyāz jām-o-mai apnī mai-parastī hai
dil unheñ tarastā hai jab vo duur hote haiñ
jab qarīb aate haiñ aañkh unheñ tarastī hai
ham ne ishq-o-ulfat meñ vo fareb khaa.e haiñ
jin kī dil-farebī ko zindagī tarastī hai
sadqe āsmāñ-jāhī tere ḳhāksāroñ par
rashk-e-sad-bulandī hai ishq meñ jo pastī hai
be-sabāt paatā huuñ aksar un umīdoñ ko
haa.e jin umīdoñ par inhisār-e-hastī hai
jab zarā ḳhayāl aayā hosh ho ga.e ruḳhsat
ai 'rishī' un āñkhoñ meñ kis balā kī mastī hai