karam ba-nām-e-sitam us pe be-hisāb huā
jo luT gayā rah-e-ulfat meñ kāmyāb huā
nazar nazar ne pinhāyā libās-e-tār-e-nazar
pas-e-naqāb huā jo bhī be-naqāb huā
vo sarfarāz huā kārobār-e-ulfat meñ
barā-e-mashq-e-jafā jis kā intiḳhāb huā
na zindagī ne qubūlā na maut ne pūchhā
ḳharāb-hāl zamāna bahut ḳharāb huā
utar ga.e jo kisī kī hañsī ke sadqe meñ
un āñsuoñ kā huā to kahāñ hisāb huā
ye kyā ki apnī bhī pahchān ho ga.ī mushkil
bil-āḳhir apnī nigāhoñ se bhī hijāb huā
utar sakā jo kharā vaqt kī kasauTī par
ma.āl-e-kār vo zarra bhī āftāb huā
dil-o-nazar kī bahāroñ ke ruḳh palaTte hī
'rishī' gulāb kā chehra bhī aab aab huā