Rishi Patialvi

aarzu jurm hai muddaa jurm hai

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
aarzū jurm hai mudda.ā jurm hai
us fazā meñ ummīd-e-vafā jurm hai
har taraf haiñ mohabbat kī majbūriyāñ
ibtidā jurm hai intihā jurm hai
zauq-e-dīdār par laakh pābandiyāñ
dekh kar phir unheñ dekhnā jurm hai
zindagī-bhar kī nīndeñ uchaT jā.eñgī
sāya-e-zulf meñ baiThnā jurm hai
har sazā ko kisī kī atā māniye
ye bhī kyuuñ pūchhiye kaun sā jurm hai
aañkh uThā kar unheñ dekhiye kis tarah
sar uThāne kā bhī hausla jurm hai
un ke jalvoñ kā jab sāmnā ho gayā
phir kisī aur kā sāmnā jurm hai
ḳhāmushī bhī salīqa hai fariyād kā
un ke jaur-o-sitam par gilā jurm hai
aise māhaul meñ aa ga.e ham jahāñ
apne māhaul kā jā.eza jurm hai
maslak-e-ishq hai pairvī-e-vafā
hikmat-o-maslihat sochnā jurm hai
āgahī shart hai gumrahī ke liye
gumrahī par patā pūchhnā jurm hai
dāvā-e-ishq hai jurm-e-avval agar
inhirāf-e-vafā dūsrā jurm hai
un kī shān-e-karam kah rahī hai 'rishī'
un se ab koī bhī iltijā jurm hai
Top Urdushayar.com