vahī tavīl sī rāheñ safar vahī tanhā
baḌā hujūm hai phir bhī hai zindagī tanhā
tire baġhair ujāle bhī tīra-sāmāñ haiñ
bhaTak rahī hai nigāhoñ kī raushnī tanhā
jahāñ jahāñ bhī ga.ī ġham ke ās-pās rahī
kisī maqām pe dekhī nahīñ ḳhushī tanhā
shu.ūr-e-dīd kā anjām dekhiye kyā ho
hujūm-e-vahm-o-gumāñ aur āgahī tanhā
ḳhud apne shahr meñ bhī ab to ham kuchh aise haiñ
dayār-e-ġhair meñ jaise ik ajnabī tanhā
kisī ne saath nibāhā bhī to bichhaḌne ko
rahī hai apne parāyoñ meñ zindagī tanhā
ḳhud apne-āp se begānagī kā aalam hai
sharīk-e-bazm-e-nigārāñ bhī haiñ 'rishī' tanhā