ham uTh jā.eñge mahfil se to un ko justujū hogī
hamārā zikr aa.egā hamārī guftugū hogī
ye maanā dekhne ko vo zamāna ham nahīñ hoñge
hameñ DhūñDegī duniyā jab tumhārī justujū hogī
kisī kā ḳhūn-e-nāhaq rā.egāñ to jā nahīñ saktā
vafā kā ruup nikhregā mohabbat surḳh-rū hogī
tumhāre naam se pahle hamārā naam aa.egā
jahāñ ishq-o-vafā ke silsile meñ guftugū hogī
baḌā pur-lutf hogā vo niyāz-o-nāz kā aalam
nazāra tū karegā dil nazar se guftugū hogī
faroġh-e-jalva-gāh-e-nāz apnī hī nazar tak hai
vahāñ tak jalve bhī hoñge jahāñ tak justujū hogī
tajallī ḳhud bhī parda hai magar jab dil se dekheñge
ba-har-sūrat nigāhoñ meñ vo sūrat hū-ba-hū hogī
nazar kā mudda.ā dil kī tamannā kaun dekhegā
vo jān-e-ārzū hogā to kis ko aarzū hogī
bikhar jā.egā sab husn-e-chaman-bandī kā shīrāza
havā-e-sar-kashī meñ jab fazā-e-rañg-o-bū hogī
ham is muñh boltī bechārgī par dam-ba-ḳhud hoñge
vo hoñge sāmne be-ḳhud nigāh-e-jalva-jū hogī
salīqa aate aate aayā hai nazroñ se piine kā
'rishī' ab mai-kashī be-gāna-e-jām-o-subū hogī