ātish-e-hijr ko ashkoñ se bujhāne vaale
tujh ko rone bhī na deñge ye zamāne vaale
zahr-e-ġham khā to sahī ai dil-e-mahrūm-e-karam
pursish-e-hāl ko aa jā.eñge aane vaale
yaad aate haiñ to aa.e hī chale jaate haiñ
dil se jaate haiñ kahāñ dil se bhulāne vaale
dāva-e-dīd abas jur.at-e-dīdār ġhalat
aap meñ aa na sake aap ko paane vaale
jab se dekhā hai tujhe maiñ ne ye maiñ dekhtā huuñ
mujh ko dīvāna samajhte haiñ zamāne vaale
dil meñ bhī baste haiñ armān-o-tamanna kī tarah
nuur ban kar merī nazroñ meñ samāne vaale
vo zarā mast nigāhoñ se pilā.eñ to sahī
hosh meñ ā.eñge ham hosh se jaane vaale
kitne ahbāb 'rishī' ishq kā dam bharte haiñ
kitne hote haiñ magar naaz uThāne vaale