shu.ūr chāhiye izhār-o-āgahī ke liye
ḳhushī hai ġham ke liye aur ġham ḳhushī ke liye
hazār jalve nazar ke liye haiñ aalam meñ
nigāh-e-shauq hai lekin kisī kisī ke liye
zarā havāoñ ke ruḳh par bhī ik nazar Dāleñ
charāġh DhūñD rahe haiñ jo raushnī ke liye
kisī ne ye bhī na pūchhā ki kyā guzartī hai
ham apne aap se jaate rahe kisī ke liye
ye raaz pūchhe to parvāne se koī pūchhe
ki be-sabab koī martā nahīñ kisī ke liye
riyāz-e-ishq meñ aisī bhī ik bahār aa.ī
nigāh-e-shauq ne bose kalī kalī ke liye
kise ḳhabar thī ki ḳhud raushnī ko tarsegā
charāġh-e-ishq jalāyā thā raushnī ke liye
usī kā naam farishtoñ ke naam se chamkā
jo aadmī huā qurbān dostī ke liye
hazār qudrat-e-azm-o-amal sahī lekin
ḳhalā kā ḳhauf bhī lāzim hai aadmī ke liye
davā-e-dard agar aap se nahīñ hotī
duā-e-marg hī kar jā.iye 'rishī' ke liye