diloñ ko lūTne vaalī adā bhī yaad nahīñ
vafā kā zikr hī kaisā jafā bhī yaad nahīñ
muāmalāt-e-mohabbat to yaad kyā rahte
vo rasm-o-rāh kā ab silsila bhī yaad nahīñ
nikal paḌe haiñ safīne havāoñ ke ruḳh par
ḳhudā bhī yaad nahīñ nāḳhudā bhī yaad nahīñ
vo kā.enāt-e-mohabbat huī nazar ojhal
fusūñ-tarāzī-e-rasm-e-vafā bhī yaad nahīñ
tarīq-e-mehr-o-vafā ke chalan to duur rahe
kisī ko va.ada-e-mehr-o-vafā bhī yaad nahīñ
javāb meñ jo sunā thā vo yaad kyā hotā
hameñ to apnā sunāyā huā bhī yaad nahīñ
ye vāqi.a hai ki dekhā thā ḳhvāb manzil kā
ye hādisa hai ki ab rāsta bhī yaad nahīñ
kabhī sulūk kisī ne kiyā to thā lekin
ravā bhī yaad nahīñ nāravā bhī yaad nahīñ
ham un ko yaad dilā.eñ to kyā 'rishī' jin ko
niyāz-mandī-e-ahl-e-vafā bhī yaad nahīñ