Basit Bhopali

shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
shauq ko be-adab kiyā ishq ko hausla diyā
uzr-e-nigāh-e-dost ne jurm-e-nazar sikhā diyā
aah vo bad-nasīb aah nāla-e-andalīb-e-āh
merā fasāna-e-alam jaise mujhe sunā diyā
TuuT sakā na pasti-e-fikr-o-nazar kā silsila
daam na qafas ko ham ne ḳhud dām-o-qafas banā diyā
mere mazāq-e-dīd kī sharm usī ke haath hai
jis ne shuā-e-husn ko husn-e-nazar banā diyā
nāz-o-niyāz āshnā taġhāful-e-e'tibār
haa.e kis ehtimām se tum ne mujhe miTā diyā
ḳhuub ilaaj kar diyā apne marīz-e-ishq kā
dard miTāne aa.e the dard diyā miTā diyā
haa.e vo husn-o-ishq jab 'bāsit'-e-be-qarār ko
barq-e-nigāh-e-dost ne phūñk diyā jalā diyā
Top Urdushayar.com