Rishi Patialvi

aatash-bajaan hain shiddat-e-soz-e-nihan se hum

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
ātash-bajāñ haiñ shiddat-e-soz-e-nihāñ se ham
is par bhī kaam leñge na āh-o-fuġhāñ se ham
dil par jo ban ga.ī hai kaheñ kyā zabāñ se ham
gir kar tirī nazar se gire āsmāñ se ham
anjām-e-justujū pe vahī aa gayā maqām
āġhāz-e-justujū meñ chale the jahāñ se ham
dair-o-haram ko chhoḌ kar aa.e the ham yahāñ
jaa.eñ kahāñ ab uTh ke tire āstāñ se ham
maanā ki terā ġham hai ġham-e-rāhat-āfrīñ
laa.eñ adā-shanās-alam dil kahāñ se ham
kis ko ḳhabar thī ishq meñ kis ko ḳhayāl thā
kaT jā.eñge ta.alluq-e-kaun-o-makāñ se ham
ehsās-e-rañg-o-bū pe bahāroñ kā hai samāñ
mānūs haiñ shaguftagī-e-gul-ruḳhāñ se ham
āzār-e-ġham vafūr-e-alam soz-e-nā-tamām
ḳhush-baḳht-o-faiz-yāb haiñ umr-e-ravāñ se ham
aisā ghire haiñ jāda-o-manzil ke pher meñ
kho.e ga.e haiñ apne hī nām-o-nishāñ se ham
kaisī talāsh kis kī tamannā kahāñ kā shauq
uljhe hue haiñ lazzat-e-dard-e-nihāñ se ham
ag gumrahī jo raah dikhā.e to kuchh bane
manzil par aa ke duur hue kārvāñ se ham
ho jaa.eñ un pe miT ke subuk-dosh ai 'rishī'
tañg aa chuke haiñ ziist ke bār-e-garāñ se ham
Top Urdushayar.com