Rishi Patialvi

tasawwur se nazare tak farogh-e-sehr-e-hairat hai

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
tasavvur se nazāre tak faroġh-e-sehr-e-hairat hai
haqīqat bhī fasāna hai fasāna bhī haqīqat hai
kisī par jaan denā be-niyāz-e-mudd.ā ho kar
yahī jazba mire nazdīk me.arāj-e-mohabbat hai
zabāñ par aa ke jo harf-o-hikāyat se guzar jaa.e
na jaane kyuuñ vahī baat un se kahne kī zarūrat hai
savāl uThtā nahīñ koī yahāñ hadd-e-ta.ayyun kā
vahāñ tak justujū bhī hai jahāñ tak husn-e-fitrat hai
jise aatā nahīñ parvāna-e-sham-e-vatan honā
vo nañg-e-ādmi.yat hai adū-e-qaum-o-millat hai
ham apnī zindagī kī har ḳhushī ko kyuuñ na ġham samjheñ
jo tere ġham kā hāsil hai usī kā naam rāhat hai
mazāq-e-zindagī ko hai shu.ūr-e-zindagī lāzim
vahāñ jiine meñ rāhat hai jahāñ marnā sa.ādat hai
hamāre haal kī kyā pūchhte ho kyā batā.eñ ham
hamārā haal jo kuchh hai tumhārī hī ināyat hai
dil-e-shā.ista-e-ġham ne lagā rakkhī hai siine se
hazār un kī nazar ġhārat-gar-e-ārām-o-rāhat hai
'rishī' nākām sa.ī-e-justujū hai zauq-e-nazzāra
nazar āvāra fitrat hai jahāñ jalvoñ kī kasrat hai
Top Urdushayar.com