dariyāoñ ko haal sunā kar raqs kiyā
sahrāoñ kī ḳhaak uḌā kar raqs kiyā
qais tumhārī sunnat aise zinda kī
hāthoñ meñ kashkol uThā kar raqs kiyā
qais mujhe is baat pe hairat hotī hai
tū ne kaise dasht meñ jā kar raqs kiyā
un logoñ kī hālat dekhne vaalī thī
jin logoñ ne vajd meñ aa kar raqs kiyā
jab merī āvāz na kānoñ tak pahuñchī
phir maiñ ne tahrīr meñ aa kar raqs kiyā
niilī chhat pe lā-mahdūd parinde the
aaj kisī ne ashk bahā kar raqs kiyā
bhed khulā jis shaḳhs pe tere hone kā
us ne tere qurb ko pā kar raqs kiyā
chhan chhanā chhan chhan chhan chhan kī aa.ī sadā
ghuñghrū pahne hosh gañvā kar raqs kiyā
'mustahsan' maiñ 'jāmī' huuñ 'mansūr' nahīñ
dilbar ko ash.ār sunā kar raqs kiyā