Basit Bhopali

mohabbat ki intiha chahta hun

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
mohabbat kī intihā chāhtā huuñ
unheñ hāsil-e-ibtidā chāhtā huuñ
use barmalā dekhnā chāhtā huuñ
adab ai mohabbat ye kyā chāhtā huuñ
ġham-e-ishq kā silsilā chāhtā huuñ
maiñ tujh tak tirā vāstā chāhtā huuñ
karam-hā-e-nā-mustaqil kā gila kyā
sitam-hā-e-be-intihā chāhtā huuñ
vo ghabrā ke jis par nazar Daal hī deñ
maiñ vo qalb-e-shorish-adā chāhtā huuñ
karam kījiye to karam kā huuñ tālib
sazā dījiye to sazā chāhtā huuñ
tirī yaad achchhī tarah zikr pyārā
magar maiñ tujhe dekhnā chāhtā huuñ
tire ishq hī se banī merī hastī
tire ishq hī meñ miTā chāhtā huuñ
jo taaza kare qissa-e-tūr 'bāsit'
maiñ aisā hī ik vāqi.a chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com