Basit Bhopali

kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka

Basit Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1961
kuchh sila hī na milā ishq meñ jal jaane kā
sham.a ne luuT liyā soz bhī parvāne kā
zabt-e-fariyād kī be-sūd tavaqqo dil se
zarf kyuuñ dekhiye TuuTe hue paimāne kā
merā miTnā nahīñ āsān mohabbat kī qasam
maut hai naam tire dil se utar jaane kā
hashr tak ro.egī duniyā-e-mohabbat mujh ko
silsila ḳhatm na hogā mire afsāne kā
maut kī niiñd se insāñ ko jagā detī hai
jis haqīqat meñ zarā rañg ho afsāne kā
is tarah mujh se muḳhātab hai zamāna jaise
hosh kī fikr bhī ik farz ho dīvāne kā
un ke andāz-e-sitam kā hai taqāzā 'bāsit'
ahd kar lījiye mar mar ke jiye jaane kā
Top Urdushayar.com